Monday, May 10, 2010

Meri zaat zara e benishan




Tere siwa kya jaane koi,
dil ki halat Rabba saamne tere guzri mujh par

Kaisi qayamat Rabba

Main wo kis tarahn se karun bayan,
jo kiye giye hain sitam yahan

Main wo kis tarahn se karun bayan,
jo kiye giye hain sitam yahan

Sune kon meri yeh daastan,
koi hamnasheen hai na raazdan

Jo tha jhoot wo bana sach yahan,
nai kholi maine magar zuban

Yeh akela pan, yeh udaasiyan,
meri zindagi ki hai tarjman

Meri zaat zara e benishan

Meri zaat zara e benishan

Kabhee sooni subhun main ghoomna,
kabhee ujri shaam ko daikhna

Kabhee sooni subhun main ghoomna,
kabhee ujri shaam ko daikhna

Kabhee bheegi aankhun se jaagna,
kabhee beete lamhun ko sochna

Magar ek pal hai umeed ka,
hai mujhe Khuda ka jo aasra

Na hi maine koi gilla kiya,
na hi maine di hain duhaiyan

Meri zaat zara e benishan

Meri zaat zara e benishan

Main bataun kya mujhe kya mille,
mujhe sabr hi ka silla mile

Main bataun kya mujhe kya mile,
mujhe sabr hi ka silla mile

Kissi aaghi ki rida mille kissi dardgi ka silla mile

Kiss gham ki dil main jagah mille,
jo mera hai wo mujhe aa mille

Rahe shaad yuhin, mera jahan,
k yeh yaqeen main badle mera gumaan

Meri zaat zara e benishan

No comments:

Post a Comment